Zindgi ke har pahlu se guzarna to lazmi tha
Jehar piye bagair guzara bhi kab tha
Usse kuch pal aur dekhne ki tamanna thi
Par mere ashkon ko ye gawara kab tha
Hum to khud hi usse juda huye baithe tthe
Uska hi kasoor sara kab tha
Aj wo hamare sath nahi to kya hua
Pehle bhi wo hamara kab tha
Ussi ke aane se hui thi roshni..warna
Hamare hisse mein koi tara kab tha
Gham ke har pahlu se guzarna to lazmi tha
Iss dil ne hausla hara hi kab tha….
Author: The Unsaid by Arpita
Arpita ka Aaghaz
A warm welcome to all my friends on my blog…”THE UNSAID”
I am not a professional writer…or na hi likhna mera shauk hai. Likhti hun kyonki isse mujhe sukoon milta hai. Zindgi me ek kami hamesha se rahi ki main khud ko kabhi samjha hi nahi payi iss duniya ko..log mujhe galat samajhte hi chale gaye aur main tanha hoti chali gayi…aur aj ye aalam hai ki bas main hun aur meri tanhayi hai. Kore kaghazon par jab khud ko utarti hun to apna dard kuch kam kar leti hun. Kuch alag nahi kuch alaida nahi…Bas wohi apki aur meri kahani..wo afsane jo mere aur apke pahlu se hokar guzarte hain..har pal hamare ehsason ko kabhi jhakhjorte hain to kabhi ek tthahrav de dete hain..aise hi kuch jazbaton ko apne alfazon mein piroya hai aur apni dil ki diary ke wo panne kuch kore kuch rang-e huye apke liye le kar ayi hun.
“THE UNSAID” mera wo pahlu hai jo aj tak humse kaha na gaya. Apni poetry or writeup ke zariye main apna nazariya aap sabhi se share kar rahi hun.
Pasand aaye to hausla zaroor badhaiyega..na pasand aaye to khamiyan bhi bataiyega.
” mohabbat likhti hun
mohabbat ki taseer likhti hun
dard likhti hun
dard ki inteha likhti hun
waqt ki mutthi se churaya
ek fasana likhti hun
Kam ho chali hai khalish rooh ki
Ye jhooth likhti hun “
The Journey Begins
Thanks for joining me!
Good company in a journey makes the way seem shorter. — Izaak Walton
